ek jalwe ki hawas wo dam-e-rehlat bhi nahin

ek jalwe ki hawas wo dam-e-rehlat bhi nahin
kuchh mohabbat nahin zalim to murawwat bhi nahin

us ke kuche mein kahan kashmakash bim-o-raja
khauf-e-dozakh bhi nahin khwahish-e-jannat bhi nahin

zauq-e-masti ki mazammat na kar itni ai shaikh
kya tujhe nashsha-e-zauq-e-mai-e-ulfat bhi nahin

be-niyazi bhi utha lun main tere naz ki tarah
kya wo taqat na rahi mujh mein to himmat bhi nahin

kis tarah kahiye ki didar dikhaya us ne
bagh-e-jannat bhi nahin roz-e-qayamat bhi nahin

zohd-o-taqwa o islah-e-dar-husn-e-amal
kuchh nahin mujh mein magar kya teri rahmat bhi nahin

jazb-e-kaamil se use khinch lo ai hazrat-e-dil
kaise darwesh ho kuchh tum mein karamat bhi nahin

kabhi 'asi' se ham-aghosh na dekha tujh ko
asar-e-jazba-e-dil ahl-e-mohabbat bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close