aap ki mujh pe jab bhi nawazish hui mujh pe sang-e-malamat ki barish hui zindagi bhar rahegi mujhe yaad wo ishq mein jo meri aazmaish hui mera bachpan mujhe yaad aane laga titliyon ki jahan bhi numaish hui mere daman pe kichad uchhalta nahin kya khabar kya raqibon mein sazish hui jhut to jhut tha jhut hi wo raha barha sach banane ki koshish hui zulf bikhrae wo baam par aa gae jab suhani ruton ki sifarish hui kitna bad-zauq shahr-e-ghazal hai 'zafar' bahre gunge ki har su sataish hui