aap ki shokhi-e-inkar nai baat nahin ye to mamul hai sarkar nai baat nahin aap ko khun-e-tamanna pe tajjub kyun hai roz mar jate hain bimar nai baat nahin chot padti nahin ehsas pe ab muddat se aap ki talkhi-e-guftar nai baat nahin husn-e-ikhlas ke badle mein junun milta hai aam hai shamat-e-kirdar nai baat nahin pursish-e-haal ke baad un ko taraddud kaisa kah chuke hum to kai bar nai baat nahin