umr bhar zist ki mahkar se bach bach ke chala dil jala raunaq-e-bazar se bach bach ke chala be-suluki ne burai mein bhi jad pakdi hai kyon riya-kar riya-kar se bach bach ke chala is qadar apne gunahon se aqidat hai mujhe umr bhar sahab-e-kirdar se bach bach ke chala meri kutiya mein ziya-bar hai bujhta sa diya chand kyon rauzan-e-diwar se bach bach ke chala aa gaya waqt ke aakhir to shikanje mein bhi wo lakh jo waqt ki raftar se bach bach ke chala sar pe dastar liye phirte hain qamat se buland main har ek sahab-e-dastar se bach bach ke chala hausla kaise kare bhai wo banne ka kahaar 'jaan' chidiyon ki jo chahkar se bach bach ke chala