aap na-ashna ho gae

aap na-ashna ho gae
yani hum se khafa ho gae

zindagi marhala ban gai
hadse silsila ho gae

ab shikayat nahin hai koi
shikwe sab barmala ho gae

aadmi aadmi ke liye
tauba tauba khuda ho gae

dard had se kuchh itne badhe
aap apni dawa ho gae

itifaqan wo manus hue
ehtiyatan khafa ho gae

zindagi kashmakash hi rahi
dard jis ka sila ho gae

kitna tanha hai ye aadmi
apne sae juda ho gae

hum tere waste zindagi
zabt ki intiha ho gae

tera dar aur meri jabin
kaise lamhe ata ho gae

ashraf is zindagi ke liye
kya the tum aur kya ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close