basit-e-dasht ki hurmat ko baam-o-dar de de mere khudaya mujhe bhi to ek ghar de de bashaaraton ke sahife utar aankhon par tilsim-e-shab ke kalas tod kar sahar de de main tera nam likhunga rida-e-kaba par qalam nasib hai, alfaz mo'tabar de de ruke hue hain khule paniyon pe barson se hawaen khol de aur taqat-e-safar de de har ek shakhs ki patthar uthae phirta hai ek aaina hi mere shahar ko agar de de bikhar gaya hun bichhad ke khalaon mein 'ashraf' ab aae, wo mujhe mujh ko samet kar de de