aap nur-afshan hain raat ke andhere mein ya sitare raqsan hain raat ke andhere mein ek din wo zarron ko aaftab kar lenge dhup ke jo khwahan hain raat ke andhere mein kyun nahin jala lete aansuon ki qindilen log kyun hirasan hain raat ke andhere mein khaufnak aawazen wahshiyon ke hangame raunaq-e-bayaban hain raat ke andhere mein raushni to pahunchi hai sirf chand logon tak ab bhi kitne insan hain raat ke andhere mein din ki raushni mein jo sab se be-takalluf hai hum se kyun gurezan hain raat ke andhere mein tirgi se ladne ka hausla nahin jin mein an ke jism larzan hain raat ke andhere mein ujle ujle chehron par aks dilrubai ke kis qadar numayan hain raat ke andhere mein dhundte hain sab apne apne ham-nawaon ko aaine pareshan hain raat ke andhere mein kis ke naqsh-ha-e-pa rahnuma hue 'adil' raste darakhshan hain raat ke andhere mein