dil-e-pur-khun ko yaadon se ulajhta chhod dete hain hum is wahshi ko jangal mein akela chhod dete hain na jaane kab koi bhige hue manzar mein aa nikle dayar-e-ashk mein palken jhapakna chhod dete hain use bhi dekhna hai apna mear-e-pazirai chala aae to kya kahna taqaza chhod dete hain ghamon ki bhid jab bhi qarya-e-jaan ki taraf aae bilakte khwab khamoshi se rasta chhod dete hain kisi ki yaad se dil ko munawwar tak nahin karna isi ka nam duniya hai to duniya chhod dete hain hamein khushbu ki surat dasht-e-hasti se guzarna tha achanak yun hua lekin ye qissa chhod dete hain zara se ashk mein chhup kar un aankhon mein nahin rahna chalo 'aslam' hami ku-e-tamanna chhod dete hain