aap ruswa hue zamane mein

aap ruswa hue zamane mein
ek zara aaina dikhane mein

wo kisi se bhi dar nahin sakta
haq pe chalta hai jo zamane mein

tu ne parkha bhi hai kabhi us ko
kitne jauhar hain is diwane mein

pas rakhna hai kuchh ana ka bhi
ye qabahat hai sar jhukane mein

qahr chaaron taraf barasta hai
ek zara us ke ruth jaane mein

zulm par badh ke ehtijaj karo
chhup ke baitho na aashiyane mein

tabsire tazkire siyasat ke
mir-o-ghaalib ke aastane mein

ho na ho ye 'bahaar' sazish hai
zer-e-lab un ke muskurane mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close