aap se aur kya nahin hoga sirf wada wafa nahin hoga kis ko khauf-e-khuda nahin hoga bas buton ko zara nahin hoga aaj wada wafa nahin hoga tera didar kya nahin hoga jitni chaho jafaen tum kar lo kabhi mujh se gila nahin hoga lakh surat se kar jafa mujh par tark-e-sabr-o-raza nahin hoga le le meri zaban bhi ai qasid khat se matlab ada nahin hoga tujh sa zalim agar nahin koi mujh sa bhi ba-wafa nahin hoga kyon bigadte ho khat mera padh kar ab raqam muddaa nahin hoga dil to kya meri jaan bhi le lo uzr mujh ko zara nahin hoga tez hogi to kab chhuri teri jab hamara gala nahin hoga jo saza chahte ho do mujh ko kabhi uzr-e-khata nahin hoga lakh wasil khuda se ho jae phir bhi banda khuda nahin hoga koi shaki jafa ka hoga aur 'hamid'-e-ba-wafa nahin hoga