tere sadqe bhala na-chiz ye ware kya kya tu ne dharti pe utare hain sitare kya kya is sharafat ko lage aag samajh hi na sake warna milte rahe hum ko bhi ishaare kya kya tujh se wabasta mohabbat ko qarar aane laga hum ne dekhe teri qurbat mein khasare kya kya ek lamhe ko hua khud pe haqiqat ka guman tu ne mitti pe khuda naqsh ubhaare kya kya hijr par us ne mujhe raazi kiye rakkha hai aur ashaar mere dil pe utare kya kya teri taskin ko badnam hui hun mere zauq chehre badle kai aur rup hain dhaare kya kya