aap se shikwa-e-bedad karun ya na karun shauq-e-paband ko aazad karun ya na karun aap hain waqt hai fursat hai zara ye kah do ab bayan ishq ki rudad karun ya na karun ai gham-e-hijr bata ai dil-e-mayus bata matam-e-hasrat-e-nashad karun ya na karun yun to ab kuchh bhi nahin dida-e-viran ko magar chand khwabon se bhi aabaad karun ya na karun meri qismat mein sahi dard-o-alam ki rahen shadmani ko kahin yaad karun ya na karun aaj mausam ne koi mast ghazal chhedi hai zabt ko mail-e-fariyaad karun ya na karun zindagi ishq mein mitna hai to phir aise mein naz tujh pe dil-e-barbaad karun ya na karun inqilabaat mein tufan-e-sitam mein azmat shan-e-altaf-o-karam yaad karun ya na karun