dard-e-dil kaif-e-alam soz-e-jigar se pahle zindagi kuchh bhi na thi teri nazar se pahle fikr-e-farda gham-e-imroz riwayat-e-kuhan kitni rahen hain teri rahguzar se pahle jin ujalon ko zamane ki sahar hona hai wo guzarte hain meri fikr-o-nazar se pahle tum kahoge to zabani bhi sunaun lekin haal-e-dil puchh to lo dida-e-tar se pahle hae ye baat ujalon ko abhi kya malum raat kis tarah se guzri hai sahar se pahle jab bhi tamir-e-nasheman ka khayal aaya hai mashwara hum ne kiya barq-o-sharar se pahle zindagani mein masarrat ki tamanna goya wo dua hai jo bhatakti hai asar se pahle na wo tare na wo arman na wo dilkash naghme kitne fanus bujhe pichhle pahar se pahle sach to ye hai ki hamein bagh-e-jahan mein azmat saikdon khar mile ek gul-e-tar se pahle