aap sultan hua kije gada hum bhi nahin is qadar to gae-guzre ba-khuda hum bhi nahin ab ana ko kare sajda to mohabbat hi kare jabha-sa aap nahin nasiya-sa hum bhi nahin jaiye jaiye mat dekhiye mud kar pichhe aise shauqin-e-jafa khar-e-wafa hum bhi nahin chaara-e-sarkashi-e-dil karen allah allah wo khuda banda-nawaz aap to kya hum bhi nahin dosti dushmani ab aap nibhaen to nibhaen hum ko rabt aap se aisa koi baham bhi nahin mehrban aap bhi hain aur bhi honge lekin chahte to dil-e-nadan ka bura hum bhi nahin lakh lailaen umad aaen ghazal par 'rahil' aakhir is dasht ki aawara sada hum bhi nahin