mahsus ho raha hai jo gham meri zat ka sach puchhiye to dard hai wo kaenat ka ghar ki ghutan se dur nikal jae aadmi sadkon pe khauf ho na agar hadsat ka apne badan ko aur thakao na dosto dhal jae din to bojh uthana hai raat ka ek dusre ko zahr pilate hain log ab baaton mein shahd ghol ke qand-o-nabaat ka har shakhs tere shahr mein mujrim bana hua phirta hai dhundhta hua rishta najat ka is mein kisi ka aks na chehra dikhai de dhundla gaya hai aaina 'khawar' hayat ka