aap tarkash mein agar tir liye baiThe hain

aap tarkash mein agar tir liye baithe hain
hum bhi fariyaad mein tasir liye baithe hain

hum baghal mein dil-e-dil-gir liye baithe hain
gham ki munh bolti taswir liye baithe hain

aisi wahshat ke nisar aise junun ke sadqe
wo mere waste zanjir liye baithe hain

shayad ai shauq-e-shahadat teri qismat khul jae
sun raha hun ki wo shamshir liye baithe hain

koi sunta bhi hai yun hum jo kisi ke aage
qissa-e-shumi-e-taqdir liye baithe hain

ai junun tod ke ab hum bhi bahut pachhtae
hath mein panw ki zanjir liye baithe hain

sau jagah hoti hai hum ko khalish-e-gham mahsus
dil mein ek tir ke sau tir liye baithe hain

aap agar hum se ham-aghosh nahin hain to na hon
dil mein hum aap ki taswir liye baithe hain

qatl ke baad ab un ko bhi hai sadma 'nudrat'
lasha-e-ashiq-e-dil-gir liye baithe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close