aap to baat ka akhbar bana dete hain ghar ka mahaul pur-asrar bana dete hain baz aankhon ko takallum bhi ata hota hai apni khamoshi ko izhaar bana dete hain ab shikayat na karo aap ne jo dard diye hum ko pine ka rawadar bana dete hain husn-e-mutlaq tujhe malum kahan lazzat-e-did aa tujhe talib-e-didar bana dete hain aap ki jumbish-e-abru ye ishaare ye kinae baat ko aur mazedar bana dete hain aise ahkaam bhi takwin ki saat mein hain jo farishton ko khata-kar bana dete hain hum bhi aazar hain agar aap hain patthar ki chatan aaiye aap ko shahkar bana dete hain main kahan tum se mila raat kahan chandni thi yunhi bas baat mere yar bana dete hain dekh kar lauh-e-lahad dil mein khayal aata hai sar banate nahin dastar bana dete hain hum ne dekha hai karishma ye tere aahan-gar pal mein zanjir ko talwar bana dete hain