kyon na taDpa de jahan ko soKHta-jaanon ki baat

kyon na tadpa de jahan ko sokhta-jaanon ki baat
muztarib karti hai insanon ko insanon ki baat

dil-shikasta hausle hairan nigah-e-arzu
zindagi ko ras kab aai sanam-khanon ki baat

tirgi-e-gesu-e-hasti ka aalam kya kahen
dil hi dil mein ghut ke rah jati hai armanon ki baat

aam hota ja raha hai qissa-e-jam-o-subu
khul rahi hai ahl-e-dil par aaj paimanon ki baat

ab nikharte ja rahe hain aariz-e-husn-e-hayat
ho rahi hai surkh-ru khun-gashta armanon ki baat

tishnagi lau de rahi hai aarzu-e-zist ko
dhal rahi hai aag ke shoalon mein paimanon ki baat

tirgi-e-dahr mein aish-o-tarab ki dastan
'faiz' virane mein ho jaise gulistanon ki baat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close