aap to raat so liye sahab hum ne takiye bhigo liye sahab dard ki dhul gham ki baad-e-sumum ghar ka darwaza kholiye sahab us ke daman ko chhu ke aae hain hum ko phulon mein tauliye sahab talkhiyon ka mizaj badlega zahar mein qand gholiye sahab dekhiye khud ko mere chehre mein aks shishe mein tauliye sahab hum bhi munh mein zaban rakhte hain itna uncha na boliye sahab 'mauj' se mauj hai ishaara-kunan baadbanon ko kholiye sahab