sisak lete hain gahe nala-o-zari nahin karte mohabbat jin ko hoti hai adakari nahin karte kise batlaen hum kyon us ki mahfil mein nahin jate huzuri jin ko hasil ho wo darbari nahin karte hunar rakhte ho sune nakhunon ko kuchh to zinat do kabhi kyon aa ke mere dil pe gul-kari nahin karte meri chahat ko hans kar kah diya diwangi tum ne to phir kyon pas aa kar dur bimari nahin karte jo dil mein hai tumhaare saf wo chehre se zahir hai chalo munh se bhi kah do ziyaada hushyari nahin karte hain kuchh sukhe hue phulon ke bichchhu in kitabon mein inhi ke khauf se hum saf almari nahin karte ye manzar rail ki khidki ke bahar jo badalte hain guzar jate hain un ko khud pe hum tari nahin karte khususan imtihan ki date bhi jab yak-ba-yak aae ajab kya fail ho jaen jo tayyari nahin karte