aapka jab se aana hua khushnuma aashiyana hua un ki baaten ghazal ho gain apna dil shairana hua raat ki kya kahen raat bhar un ka khwabon mein aana hua ishq kije to mat sochiye kis gali aana jaana hua dil ka panchhi wahin jaega jis jagah aab-o-dana hua jis ke bin ek pal bojh tha us ko dekhe zamana hua qad se saya bada ho gaya sham ka jiyun jiyun aana hua chain ek pal nahin hai 'ratan' jab se dil ka lagana hua