kahin to roz hi mele kahin parcham ukhadta hai kahin khushiyan hi khushiyan hain kahin bas dam ukhadta hai nahin mumkin hai koi ped yun jad chhod de apni agar ho jaegi mitti zara bhi nam ukhadta hai karo koshish bhale hi lakh tute dil bachane ki magar mausam wahi aa jae to har gham ukhadta hai agar chalna hai kanton par to choton ko rawan kar lo diya ho lakh zakhmon par bhale marham ukhadta hai main chhuti aasman ko hun badha deti hun pengon ko meri jab yaad mein bachpan ka wo mausam ukhadta hai kahan jaun main kya kar lun samajh mein kuchh nahin aata zara si baat par jab bhi 'ratan' hamdam ukhadta hai