aap ko apna banate hue dar lagta hai dil ki duniya bhi basate hue dar lagta hai lag na jae kahin in phulon ko duniya ki nazar dagh-e-dil apne dikhate hue dar lagta hai ho na jae kahin hangama-e-mahshar barpa apni rudad sunate hue dar lagta hai tapish-e-husn na parwana bana de mujh ko us ke nazdik bhi jate hue dar lagta hai gharq ho jae na duniya-e-tasawwur apni ashk-e-gham aankh mein late hue dar lagta hai shaghl tha dasht-nawardi ka kabhi ai 'taban' ab gulistan mein bhi jate hue dar lagta hai