baghair apne kisi matlab ke ulfat kaun karta hai ye duniya hai yahan be-laus chahat kaun karta hai gawara lutf-farmani ki zahmat kaun karta hai mohabbat karne wale se mohabbat kaun karta hai kabhi aaina le kar husn se apni zara puchho nazar ko dil ko paband-e-mohabbat kaun karta hai mohabbat main bhi karta hun mohabbat tum bhi karti ho magar donon mein munh-dekhi mohabbat kaun karta hai sharik-e-zindagi ho kar mera tum sath kya dogi kisi ke ranj par qurban rahat kaun karta hai tumhein zoam-e-mohabbat hai mujhe bhi hai magar ai jaan tum apni dil se hi puchho mohabbat kaun karta hai jawani ke nikharte husn ki andaz se puchho mere khwabida jazbon se shararat kaun karta hai ghalat ilzam hai mujh par mere barbaad hone ka khud apne waste paida musibat kaun karta hai tatolo apne dil ko aur apne dil se hi puchho ki ye mere liye saman-e-wahshat kaun karta hai gharaz-mandi tak ai 'afzal' mohabbat sab ko hoti hai mohabbat aaj-kal hasb-e-mohabbat kaun karta hai