aap ko bhul ke main yaad-e-khuda karta hun khud ana kahta hun maujud baqa karta hun kufr-o-islam ka mujid hua banda ho kar phir wo main kaun hun jo khud hun kaha karta hun ilm-e-adad se hota hai hijab-e-akbar ek har haal mein hun kul mein raha karta hun hun basarat mein nihan uzr hai binai ka roz-e-raushan mein hi khud aap raha karta hun be-samajh nam khuda ka wo liya karte hain puchhta hun to ye kahte hain suna karta hun jism-e-khaki na samajh yar ka bas jalwa hai yaad aur bhul se main dil ko ziya karta hun main samajhta hun khuda aap ko banda ban kar han isi shan ka 'markaz' hun kaha karta hun