tere altaf ka lutf uthate rahe nur barsa kiya hum nahate rahe kaun tha wo khudaya khuda ka jamal man hi man mein paheli bujhate rahe ye samajh kar faqiri hi mein hai khuda gun hamesha faqiron ke gate rahe raaz haq-ashna ka khula jab kabhi baadshah tak huzuri mein aate rahe hum ne sahra mein tanha jalaya diya phir sada aandhiyon se bachate rahe sabr ki justuju mein phire dar-ba-dar 'yash' gadagar se ye faiz pate rahe