aap ko ujla dikhe kala dikhe sach to sach hai chahe wo jaisa dikhe zulf-e-jaanan dida-e-nam dard-e-dil in se bahar aaen to duniya dikhe aankh ke andhe ko phir bhi aql hai aql ke andhe ko sab ulta dikhe mujh ko apne-ap sa lagta hai wo rah chalte jab koi rota dikhe hun pasheman main gunahgar apna munh pher leta hun jo aaina dikhe khub hai duniya ki ye jadugari wo nahin hota hai jo hota dikhe