aakhir us ke husn ki mushkil ko hal main ne kiya ek nasri nazm thi jis ko ghazal main ne kiya kya balaghat aa gai us ke badan ke matn mein chand lafzon ka jo kuchh radd-o-badal main ne kiya bais-e-tauhin hai dil ke liye takrar-e-jism aaj phir kaise karun wo sab jo kal main ne kiya bazm ho bazar ho sari nigahen mujh pe hain kya un aankhon ke ishaaron par amal main ne kiya jis jagah marna tha mujh ko main wahan jita raha ishq mein har kaam be-mauqa-mahal main ne kiya