aap ko us ne ab tarasha hai qahr hai zulm hai tamasha hai us ko lete baghal mein darta hun nazuki mein wo shisha basha hai kyun kahun apne sim-tan ka haal gah tola hai gah masha hai tere kuche se uth nahin sakta kis wafa-kushta ka ye lasha hai gar farishta bhi ho 'hasan' to wahan gali aur jhidki be-tahasha hai