is chand se chehre ko dikha kyun nahin dete hasrat ye mere dil ki mita kyun nahin dete khalwat mein to kahte ho ki tum jaan ho meri ye baat zamane ko bata kyun nahin dete ye baat agar sach hai ki tum pir-e-mughan ho is rind ko ji bhar ke pila kyun nahin dete maqsud nahin nasl ki islah agar ho aslaf ke ausaf bata kyun nahin dete akhlaq se kirdar se ulfat se jahan mein nafrat ke andheron ko mita kyun nahin dete main ho ke wafadar bhi mulzim hun jafa ka phir meri wafaon ko bhula kyun nahin dete nafrat ke ghata-top andhere mein 'zaki' tum ek shama mohabbat ki jila kyon nahin dete