aap ne aakhir ye kya jadu kiya diwar pe aap ka chehra mujhe dikhta raha diwar pe pahle barson main ne khud ko qaid kamre mein kiya aur tab ja kar daricha ye bana diwar pe aap se bhi ye dararen jo nahin bhar pa rahin aap ne bhi zulm tha kitna kiya diwar pe qadr tu ne ki na us ki zindagi mein jo kabhi maut par bhi us ki photo mat laga diwar pe chhu liya tum ne sanam diwar ko to yun hua rang jaise ek naya sa chadh gaya diwar pe likh rahe the log apni zindagi ki dastan aur hum ne nam tera likh diya diwar pe qais ne yaron agar gham mein guzari zindagi 'ahd' bhi to sar patakta hi raha diwar pe