bujhai hai teri nazron se aksar tishnagi main ne kiya hai muddaton is tarah shaghl-e-mai-kashi main ne khusha wo marhale jin marhalon mein jaise ghabra kar mujhe aawaz di tum ne tumhein aawaz di main ne meri diwangi ko ahl-e-iman kufr kahte hain banaya hai bahut uncha maqam-e-bandagi main ne ab is ko intiha-e-zauq kahiye ya junun kahiye wo parde mein rahe taswir dil mein khinch li main ne hui hain laghzishen donon se hum donon hi mujrim hain ki daman-e-wafa chhoda kabhi tum ne kabhi main ne main us mahfil ko thukra kar chala aaya hun ai 'rahmat' jahan mahsus ki ikhlas-o-ulfat ki kami main ne