aapne jab kaha ki KHush hun main

aap ne jab kaha ki khush hun main
mujh ko aisa laga ki khush hun main

aaina dekhta hun hairat se
khush hai ye aaina ki khush hun main

lakh samjha raha hun main dil ko
dil nahin manta ki khush hun main

jaane kya kah raha tha wo mujh se
main ne bhi kah diya ki khush hun main

dil to ye chahta tha wo bhi kahe
main hi kahta raha ki khush hun main

khush hun main jis ke laut aane se
wo nahin jaanta ki khush hun main

ab wo tujh se agar mera puchhe
tu bas itna bata ki khush hun main

aur kya chiz hai khushi 'momin'
khush hai mujh se khuda ki khush hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close