ba-qadr-e-did na the teri anjuman ke charagh meri nigah farozan hui hai ban ke charagh hazar baad-e-hawadis hazar sarsar-e-gham jala raha hun magar azmat-e-chaman ke charagh nuqush-e-shahr-e-nigaran ubhaarte hi rahe mere junun ke ujale teri lagan ke charagh sawad-e-asr mein farda ki tabnaki hai bujha diye gae andesha-e-kuhan ke charagh hujum-e-gham mein hua tha ye kaun naghma-sara jali hai tirgi-e-sham dard ban ke charagh na baad-e-dasht-o-bayaban na sham-e-ranj-o-bala lahu se apne jalate hain ham-watan ke charagh jilau mein tabish-e-qindil-e-agahi le kar bujha diye hain mohabbat ne ahrman ke charagh zamana sham-e-bala se sawal karta hai kidhar gae wo tere daur-e-pur-fitan ke charagh sharar-e-nutq hua sarf-e-har-khayal 'uruj' jale to bujh na sake shokhi-e-sukhan ke charagh