aaraish-e-gesu-e-suKHan karte rahenge

aaraish-e-gesu-e-sukhan karte rahenge
be-khauf-o-khatar khidmat-e-fan karte rahenge

hum taza riwayat-e-kuhan karte rahenge
aabaad rah-e-dar-o-rasan karte rahenge

tarikh mein kahlaenge hum zulm ke hami
bardasht agar ranj-o-mehan karte rahenge

mujh ko hai yaqin mere watan ke kai farhad
teshe se rawan gang-o-jaman karte rahenge

muhtaj khabar ke nahin raftar-e-saba se
andaza-e-haalat-e-chaman karte rahenge

jis se ki badal jae rukh-e-gardish-e-dauran
koi na koi aisa jatan karte rahenge

saf bandhen rahen ahl-e-wafa kham rahe sar bhi
wo kahte hain hum hukm bazan karte rahenge

ho daur-e-khizan lakh chaman phir bhi chaman hai
'nazmi' dil-o-jaan nazr-e-watan karte rahenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close