abr aaya hai KHumar aaya hai

abr aaya hai khumar aaya hai
chehra-e-gul pe nikhaar aaya hai

jab kahin zikr-e-bahaar aaya hai
jhumta baada-gusar aaya hai

sar-ba-kaf aaj ghazal aate hain
kaun yan bahr-e-shikar aaya hai

na mila mahmil-e-laila ka suragh
qais har samt pukar aaya hai

auj par hai dil-e-nadan ka nasib
us pe aaj un ko bhi pyar aaya hai

kah rahe hain wo khuda khair kare
hum pe to hota nisar aaya hai

jab shagufa koi gulshan mein khila
samne jalwa-e-yar aaya hai

luta sabr aur sukun phir 'nazmi'
jab zara dil ko qarar aaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close