aaram ke the sathi kya kya jab waqt pada to koi nahin sab dost hain apne matlab ke duniya mein kisi ka koi nahin gul-gasht mein daman munh pe na lo nargis se haya kya hai tum ko us aankh se parda karte ho jis aankh mein parda koi nahin jo bagh tha kal phulon se bhara atkheliyon se chalti thi saba ab sumbul o gul ka zikr to kya khak udti hai us ja koi nahin kal jin ko andhere se tha hazar rahta tha charaghan pesh-e-nazar ek shama jala de turbat par juz dagh ab itna koi nahin jab band huin aankhen to khula do roz ka tha sara jhagda takht us ka na ab hai taj us ka askandar o dara koi nahin qattal-e-jahan mashuq jo the sune pade hain marqad un ke ya marne wale lakhon the ya rone wala koi nahin ai 'arzu' ab tak itna pata chalta hai teri barbaadi ka jis se na bagule hon paida is tarah ka sahra koi nahin