ghar se bahar kabhi nikla kije 'hashami' galiyon mein tahla kije husn baaton mein bhi paida kije samne aaina rakkha kije kyun kisi aur ko ruswa kije ab ke apna hi tamasha kije pahle khud aap ko parkha kije aur phir shikwa-e-duniya kije kahin suli na samjhe le koi apni banhon ko na khola kije sochiye phul khila hai kya kya surat-e-sang na dekha kije itni fursat bhi kise hai lekin gahe-gahe hamein puchha kije har koi munh mein zaban rakhta hai rokta kaun hai bola kije ye bhi andaz hai ek chhupne ka is qadar pas na aaya kije aane lagti hai shikaston ki sada aise khamosh na baitha kije rabt bhi rakhta hai mani apne baat be-baat na toka kije 'hashami' gham ne phir angdai li 'hashami' phir ghazal insha kije