aaram phir kahan hai jo ho dil mein ja-e-hirs aasuda zer-e-khak nahin aashna-e-hirs mumkin nahin hai ye ki bhare kasa-e-tama din mein karod ghar jo phira de gada-e-hirs insan na hon zalil zamane ke hath se zillat kisi ko koi na dewe siwa-e-hirs kar munh ko tuk ba-su-e-qanaat ye harf man rahti hai lakh tarah ki aafat qifa-e-hirs nadan talash-e-turra-e-zar se to baz aa jun shama ye na ho ki tera sar katae hirs apne siwa kisi ko na paya harif haif ki qata rozgar ne hum par qaba-e-hirs 'sauda' basar ho khubi se auqat har tarah par darmiyan na howe ba-shart-e-ki pa-e-hirs