mere badan se kabhi aanch is tarah aae lipat ke mujh se mere sath wo bhi jal jae main aag hun to mere pas koi kyun baithe main rakh hun to koi kyun kuredne aae bhare dayar mein ab is ko kis tarah dhunden hawa chale to kahin bu-ham-nafas aae ye raat aur riwayat ki ye zanjiren gali ke mod se do lautte hue sae wahi badan wahi chehra wahi libas magar koi kahan se 'basawan' ka mu-qalam lae koi to baat hui hai ajib si 'rahat' ki aaina bhi na wo chhode aur sharmae