aarastgi badi jila hai patthar ki baghal mein aaina hai mujh ko yahi aap se gila hai puchha na kabhi ki haal kya hai allah re husn ki lagawat daud raqib aur ya hai khote hain tilai rang wale us sone ko barha kasa hai baalon ke ghata tale hain jhaale meinh motiyon ka baras raha hai taqdir mein aag lagi gai hai aalam se jigar jala-bhuna hai piri mein hai harf zindagi par jo qad khamida hai wo la hai pite hain sharab ma-badaulat saqi bat-e-mai nahin huma hai main daud raha hun us ke pichhe jo sae se apne bhagta hai bimar hun khub-suraton ka husn-e-yusuf meri dawa hai barik kamar hai kya hi us ki talwar mein baal aa gaya hai bhawon par jo dupatte ka hai lachka pattha talwar par chara hai kamre ka khula hai dar sar-e-rah mashuq baghal mein hai ye kya hai kyun hote ho 'bahr' tasht-az-baam chilman chhodwa do samna hai