main ne tujhe tujh se kabhi hat kar nahin dekha jo kuchh bhi hua us ko palat kar nahin dekha jab se ki nigahon mein basi hai teri surat quran ke auraq ulat kar nahin dekha raaton ko andhere hi nigahban the tere tujh ko teri nindon ne uchat kar nahin dekha mear ka qimat ka kahan us ko pata ho jis mal ne khairaat mein bat kar nahin dekha ek chiz samundar hai magar tu ne kabhi bhi maujon ki rawani se lipat kar nahin dekha ek qadri rutba hai 'jamil' apne liye bhi khud ko kisi andaz se ghat kar nahin dekha