aariz-e-shama pe nind aa gai parwanon ko khwab se ab na jagae koi diwanon ko un ko malum hai rindon ki tamanna kya hai aks-e-rukh dal ke bhar dete hain paimanon ko ai dil-e-zar udhar chal ye tazabzub kya hai wo to aankhon pe utha lete hain mehmanon ko wo bhi mutlashi-e-yak-jalwa-e-gum-gashta hain hum ne nazdik se dekha hai pari-khanon ko ho gae saf ayan ruh-o-badan ke nasur raushni mar gai aaj ke insanon ko un ke har chaak se tanwir-e-wafa phutegi jashn-e-farda mein sajaenge garebanon ko qalam-e-dar se tahrir-e-rasan se hum ne ek naya mod diya ishq ke afsanon ko josh dariya ke qarain ye batate hain 'zahir' mauj kha jaegi sahil ke shabistanon ko