ab hai kya lakh badal chashm-e-gurezan ki tarah main hun zinda tere tute hue paiman ki tarah koi dastak koi aahat na shanasa aawaz khak udti hai dar-e-dil pe bayaban ki tarah tu meri zat meri ruh mera husn-e-kalam dekh ab to na badal gardish-e-dauran ki tarah main ne jab ghaur se dekha to wo patthar nikla warna wo husn nazar aata tha insan ki tarah ab main kis naz pe kah dun ki use kar le qubul dil to sad-chaak hai muflis ke gareban ki tarah abhi kuchh kar-e-mohabbat hai mujhe duniya mein zindagi khatm na ho sohbat-e-yaran ki tarah main teri bazm se nikla tha nazar ki ki surat ab na yun dekh mujhe dida-e-hairan ki tarah barq ban kar mere khirman ko jalane wale tu hi barsa tha kabhi abr-e-bahaaran ki tarah