aariz-o-zulf-e-yar ki baaten

aariz-o-zulf-e-yar ki baaten
jaise lail-o-nahaar ki baaten

husn se tazkira mohabbat ka
aaine se ghubar ki baaten

kitni rangin hai apni sham-e-firaq
pahron dil se hain yar ki baaten

kab na dar-o-rasan ne chhedi hain
jurat-e-paedar ki baaten

tum ho aur be-niyazi-e-paiham
hum hain aur eatibar ki baaten

mit chuke walwale bahaaron ke
ab kahan lala-zar ki baaten

dil pe ab shaq hain bahut hamdam
mausam-e-khush-gawar ki baaten

sun sako to zaban-e-gul se suno
daman-e-tar-tar ki baaten

hasil-e-umr ban gai hain 'hasan'
husn-e-iman-shikar ki baaten


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close