aarzu aur hawas ka hissa hun

aarzu aur hawas ka hissa hun
jism ki lazzaton ka qissa hun

ek kunj-e-farar mein mahfuz
pas-e-diwar hun main saya hun

shab-gazida idhar se guzrenge
karwan-e-sahar ka jada hun

hairati main ki mera aaina
jism hun ya ki raqs-e-baada yun

meri tanhai mujh se kahti hai
naqsh-e-kohna pe naqsh-e-taza hun

kaif-o-kam ke shumar kya mani
main to manzar hun main to dida hun

mujh ko mat chaak kar ki apne tain
nama-e-dost hun main girya hun

main ulum-e-zaman ka shahzada
main zamin-zad ibn-e-sina hun

matn-o-qari ke darmiyan mein kya
main faqat lafz hun ki mana hon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close