aarzu hai bahut kinare ki der hai bas tere ishaare ki wo yahan aae aur chale bhi gae kya zarurat thi nam-chaare ki ai hawao udhar na le jao main lahar hun usi kinare ki chand ka nam dijiye na mujhe sirf parchhain hun sitare ki zindagi kya hai kuchh nahin hai bas ek taswir hai sharare ki meri haalat bhi aaj aisi hai jaisi gardish mein ek sitare ki