ai mere hath ke kangan khanak aahista aahista dhadak ai dil dhadak lekin dhadak aahista aahista meri aankhon mein chubhti hai ziyaada raushni ho to ai jugnu sun damak lekin damak aahista aahista zamane baad aaya hai kisi ka aks aankhon mein ai shakh-e-gul mahak lekin mahak aahista aahista kabhi zid hi nahin karti koi hasrat mere dil ki machalti hai magar man ki lalak aahista aahista bharosa kijiye us par usi ki mehrbani se chali aati hai chehre par chamak aahista aahista ye titli phul par baithi hai to baithi bhi rahne de hawa palken jhapak lekin jhapak aahista aahista