aarzu hasrat-e-nakaam se aage na badhi fikr andesha-e-anjam se aage na badhi su-e-manzil kabhi do gam se aage na badhi zindagi maut ke ilzam se aage na badhi zulf-o-rukh ke sahar-o-sham se aage na badhi aashiqi rahguzar-e-am se aage na badhi rah gai rifat-e-parwaz ki hasrat dil mein par-fishani qafas-o-dam se aage na badhi manzil-e-be-khudi-e-shauq ki azmat malum tishna-kaamon ki nazar jam se aage na badhi kitni shamen gain aur kitne sawere aae nigah-e-muntazir ek sham se aage na badhi paki-e-nafs ki azmat ka to kya zikr 'figar' zohd ki baat bhi ehram se aage na badhi