teri justuju mein dekha main kahan kahan se guzra kabhi is zamin ko raunda kabhi aasman se guzra tere gham mein do jahan se jo bacha liya hai daman kabhi aisa bhi hua hai gham-e-do-jahan se guzra mere naqsh-ha-e-ulfat ye bata rahe hain sab ko main kahan kahan pe thahra main kahan kahan se guzra ye masajid-o-manadir mere kaam kuchh na aae tere ishq mein jo guzra to main apni jaan se guzra tu khabir bhi hai kaamil tu alim bhi hai mutlaq tere samne kahun kya main kahan kahan se guzra kabhi wo the mujh se barham kabhi mujh pe mehrban the ki 'figar' ishq mera kade imtihan se guzra